1962 me aakraman kar k china ne bharat ki 38,000 varg km bhumi ko hathiya liya tha .......itna hi nahi wo bharat k arunachal pradesh per apna dava jatata raha hai durbhagya ki baat to ye hai ki bharat k hi kuch neta chin ki is ghranit soch ka samarthan karte najar aate hai.........
1962 me dhoka de chuka ye chini dragen aaj bhi aapni kartuto se bharat k liye sankat khada karne me laga h aaiye dekhe china ki kuch sankat paida karne wali gatividhiya..:_
arunachal me haliped banaya;
china hamare padosi deso se senya sambandh bana kar bharat ko charo or se gherne ki taiyari me hai;
pakistan ne pok me 5183sq.km. bhumichina ko di jaha se usne karakoram haigway nikala tha.
pakistan{baluchisthan} me hi guvadar k bandargah perchina ne apna navi camp sthapit kiya hai.
Hind mahasagar me bhi chini sena ne panv pasarana shuru kar diya hai
Dusri or dekhe to purvi tat per myanmar{barma} k pure nadi parivahan tantra ko chini sena ne adhikrat kar rakha h.
Yahi myanmar me usne apna radar bhi sthapit kiya h jaha se vo bharat k sampurn purvi tat ki nigrani rakh sakega.
Nepal me maowaad k madhyam se waha ki sampurn rajniti ka sutradhar china hi ban gaya hai bharat me bhi lagbhag 150 jilo me isi prakar maowadi jaal bicha rahe hai.
kutnitik yudh
china pakisthan ko sashtrastro se sajjit kar raha hai
Antar-rastriya mancho per bharat ko aahat karne ki kutniti se china kaam kar raha hai
Bhramputra nadi per baandh banana shuru kar diya h china ne
Itna sab kuch hone k baad bhi ham bharatiyo ki bewakufi dehiye
aaj bharat-china antarastriya vyapaar 80 arab $ varshik hai
isme se 54 arab dolar yani lagbhag 2.5lakh carore ka hamara aayat{import} hai
badi matra me hamare yaha china ka maal bina bil k bhi milta ha use bhi agar jod liya jaye to ye aankada 3.5 lakh crore ho jayega
Is prakar hum bhartiya 3.5 lakh ka lagbhag 12% tex g.d.p. ka anupat mane to 40 hajar crore Rs.china sarkar ko rajasva k rup me dete hai
kul milakar kar china hamara hi juta hamare hi sar pe marne ki niti se kam kar raha hai hamare dwara prapt rajasv ka upyog wo hamare hi desk k khilaf samarik yojanaye banane me kar raha hai
kul milakar mitro aaj aavashakt hai china ki in rastra ghatak nitiyo ko samajhne ki or china nirmit sabhi vastuo k bhahiskar ki
hamari jeb se chinis saman kharidne k liye nikala 1-1 paisa hamare desh k liye hi khatak hoga.....
ab jag utho kamar kaso manjil ki rah bulati hai.........
ReplyDeletechina nirmit vastuo ka purn bahiskar karo anyatha 1962 k yudh me mili har yaad kar lo
ReplyDeletejago bhartiya jago...........
ReplyDelete